Pages

Friday, August 5, 2011

Hot And Desi Girl's13



Ajeeb larka hoon khud ko jalana chahta hoon

Main khud ko rakh kar kahin bhool jana chahta hoon

Mere naseeb ki khushiyaan bhi kab mili mujh ko

Bas ab to umar bhar ansoo bhana chahta hoon

Na-janay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe

Koi bhi dard ho dil mein chupana chahta hoon

Baha baha ke ye asnoo bikhar chuka hoon bohat

Simat ke zaat mein ab muskurana chahta hoon

Jis ko ek umar dil mein chupa ke rakha hai

Wo raaz aaj main sab ko batana chahta hoon

Wohi hai yaad jo acha kaha hai logon ne

Baqi saaray sitam bhool jana chahta hoon

Mujhe zamanay ne pathar samajh liya hai magar

Main ek larka hoon sab ko batana chahta hoon

Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyan

To main bhi un khushiyon se rooth jana chahta hoon

Tu apnay dil ke har ek dar ko khol dey

Main dard ban kar tere dil mein aana chahta hoon 










0 komentar:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...